NSS SONG
Uthen samaj ke liye uthen uthen,
Jagen swarashtra ke liye jagen jagen,
Sawayam sajen vasundhara sanwar den-2.
Hum uthen uthega jag hamare sang sathiyon,
Hum badhe to sab badhenge apne ap sathiyon,
Zamin pe asman ko utar den-2.
Udasiyon ko dur kar khushi ko baten chalen,
Gaon aur shahar ki durion ko patate chalen,
Gyan ko parchar den prasar den,
Vidyan ko prachar de prasar de,
Sawayam saje vasundhara sanwar de.
Samarth Bal Vurdh aur nariyan rahe sada,
Rare bhare vanon ki shawl odhti rahe dhra,
Tarakiyon ki ek nayee katar den-2.
Sawayam saje vasundhara sanwar de.
Ye jati dharm boliyan bane na shool rah ki,
Badhayen bel prem ki akhandta ki chah ki,
Bhavna se ye chaman nikhar den,
Sadbhawna se ye chaman nikhar de.
Sawayam saje vasundhara sanwar de,
Uthen samaj ke liye uthen uthen,
Jagen swarashtra ke liye jagen jagen,
Sawayam sajen vasundhara sanwar den-2.


